Happy Birthday........Jaan



Zaroor tumko kisine dil se pukara hoga,
Ek baar to chand ne bhi tumko nihara hoga,
Mayus hue honge sitaare bhi uss din,
khuda ne jab Zamin par tumko utara hoga.
"Happy Birthday To My Love"

Tere Janam Din Par....Kya Pesh Karu




Tere janam din par tujhe kya pesh karu

Taj Mahal dun tujhe ya chaand pesh karu
Aur toh kuch nahi mere pass aye mere sanam
Sochta hun bas tujhe apni wafa pesh karu.
                                    **************

Suraj roshni le kar aaya aur chidiyon ne gaana gaaya,
Phoolon ne hans hans kar bola mubaraq ho tumhara janm din aaya.
*Happy Birthday*
                                    **************


Birthday....Wish....To..A....Friend...


Dost tu hai mera sabse nyara
Tujhe mubarak ho tera janmdin yaara
Meri bhi na nazar lage tujhe
Kabhi udaas na ho tera yeh chehra, jo bada hai pyaara...

Birthday Wish...For....Lover


Khuda kaise karoon shukriya iss din ke liye
Jis din tumhe dharti pe bheja hamare liye
Na jaane kyun main intezaar kar raha tha
Shayad janmdin hai tumhara iss liye
Meri har ek dua hai teri lambi umar ke liye
Dil khud jaanta hai tu na ho dhadkega kis ke liye...

Janam Din Mubarak Ho...




Yeh din ye mahina yeh taarikh jab jab aayi
Hum ne kitne pyaar se janam din ki mehfil sajayi
Har shamaa par naam likh diya dosti ka
Iss ki roshni mein chaand jaisi teri surat hai samayi...
 

About