Love Gajal in Hindi Language
Kaun hai jo ek saaye ki tarah
Mere dil ko chhoota hua gujar jata hai
Kabhi pass se , kabhi door se
Ek aawaaz , ek nagma, ek geet
Banke rag rag main utar jata hai
Kabhi pass se , kabhi door se
Kaun hai jo mujhe apni
Tanhai ka ehsaas dila jata hai
Ek khalipan sunapan chhod jata hai
Main use dekhna chahta hoon
Janna chahta hoon
Hathon se uske chehre ko chhoona chahta hoon
Love Gajal SMS in Hindi
Jo pass rehkar bhi mujhse door hai
Kadmon ki aahat sunta hoon
Palatta hoon
Use dekhta hoon
Tasweer ban jata hoon
Khud ko bhul jata hoon
Bekhud ho jata hoon.
Romantic & Love Gajal in Hindi
Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho
Jab jab saanse chalti hain bahut yaad aate ho
Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari
Banke khwaab baar baar nazar aate ho
Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bhird ki tanhayon mein har baar nazar aate ho
Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho
Khud ko toofaan banaane ki koshish toh ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho
Chaha na tha main ne iss paheli mein uljhna
Har uljhan ka jawaab ban ke ubhar aate ho
Tumhari kasam bahut bahut yaad aate ho
Ab na puchhna mujhse ki kab kab yaad aate ho.
Gajal SMS in Hindi For Love
Aji unse kaisi mohabbat, jinhone kadar naa hamaari jaani
Hamaare dil ke shamshaan mein, us mohabbat ki kabbr hai bani
Mohabbat karane wale use paane ki aaraju nahi rakhate
Kabren woh banate hain jo sachchi mohabbat nahi karate.
Zameen ban jaaye kaagaz ki, aur samundar ho syaahi ka;
Phir bhi kalam likh nahi sakhti, dard-e-judaai ka
Darde judai jamane ko bata ke apne sanam ko rusvaa nahi karate
Dil se pukaar ke dekhlo sachche sanam judaai nahi dete.
Sanam ko rusvaa kar, kya khaak ji sakenge,
Hamara kya dosh, gar pal bhar ki judaai, bhi na sahi jaaye.
Kehte hain patthar dil aadmi ke, aansoo nahi nikalte;
Par teri hi kudrat hai, pattharon se hi jharne phootte hain.
Dil patthar ke nahin hote, jamana bana deta hai
Sakht patthar ke pichhe ka dard kise pata hota hai
Dil patthar ke nahi hote, zamana banaa deta hai
Koi fark nahi hai padta, sheeshe ka ho ya patthar ka, aakhir toot jaata hai.
Najron ko chhipa ke rakhna, kaatil hai teri nazar
Ek ko toh maar diya tumne, karogi kitnon ko ghayal
Ghayal karaana ankhon ki aadat nahi hoti hai
Ghayal hone walon ki niyat kharab hoti hai
Aankhon ki chilman mein hain adaayein hazaar,
Woh insaan hi kya, jise hua na kabhi pyaar.
Aankhon ki gehri jheel me dubaye ja rahi ho
Tairna mujhe aata hai, magar bacchna hai kisko
Bacha nahi pate hain khudko, toh marne ka davaa karte hain
Ye nahi kehte kabhi ke tairna bhul gaye hain
Muhabbat paane ke liye sou zakhm sehte hain,
Yaar ke nashe mein doob jaane ko khudaai kehte hain.
Apne gamon ko sharab mein dubone chala tha,
Mujhe kya khabar thi, ki gamon ko bhi tairna aata hai
Sharab gamon ko dubati agar toh jahan ek maikhana hota
Ek tumhi toh dukhi nahi ho har dil sharab ka pyasa hota
Sharab ko gale lagakar, zamane ko bhula diya,
Kuch der ke liye sahi, haskar jee liyaa.
Romantic & Love Gajal SMS in Hindi
Usne kaha kaun ho tum
Mai ne kaha hasrat tumari
Usne kaha takte ho kya
Mai ne kaha surat tumhari
Usne kaha karte ho kya
Mai ne kaha pooja tumhari
Usne kaha kaafir ho kya
Mai ne kaha aisa hi sahi
Usne kaha chate ho kya
Mai ne kaha muhabbat tumhari
Usne kaha pachhtaoge,
Mai ne kaha kismat hamari
Usne kaha married hoon main
Mai ne kaha sorry baji
Hindi Love Gajal SMS
Tera haath, haath mein ho agar,
Toh safar hi asli hayaat hai.
Tere har kadam par hain manzilen,
Tera pyar gar mere saath hai.
Meri baat ka meri hamnafaz,
Tu jawab de na de mujhe.
Teri ek chup mein hai chupi,
Woh hazaar baaton ki baat hai.
Meri zindagi ka har ek pal,
Tere husn se hai juda hua.
Tere honth thirke toh subah hai,
Teri zulf bikhre toh raat hai.
Tera haath haath mein ho agar,
Toh safar hi asli hayaat hai.
Hindi Love Gajal SMS
Tumko jaante nahi, par chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, par sochte hain hum
Tumhare dil mein rehte nahi, par tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, par apnayen ge hum
Jeevan mein shayad kabhi mil na paao,bas bichhar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, par muskurao ge tum
Raat andheri hogi, phir bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aaoge tum.