Gam Shayari in Hindi


Hindi Bewafa Shayari SMS


Raat ki khamoshi raas nahi aati,
Meri parchhayi bhi mere paas nahi aati,
Kuch aati hai toh bas teri hi yaad,
Aakar jo ek pal bhi door nahi jaati.

Hindi Bewafa SMS

Bewafa zamane mein kuch wafa shanason ne,
Zikr-e-dil zamane se har qadam chhupaya hai,
Jal raha tha dil mera phir bhi shukr hai itna,
Unko iss tamashe me kuch maza toh aaya hai.

Hindi Bewafa Shayari

Jis din se juda wo humse hue,
Iss dil ne dhadakna chorh diya,
Hai chaand ka mooh bhi utra utra,
Taaro ne chamakna chorh diya.

Hindi Gajal SMS

Kuch din pehle muhabbat ko muhabbat samjha hum ne..
Muhabbat hui muhabbat ko apna samjha hum ne..

Muhabbat main iss qadar madhosh ho gaye..
Iss ki bewafai ko wafa samjha hum ne..

Zakham iss qadar muhabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..

Muhabbat ki chikh o pukaar iss qadar thi..
Ass pass ke logo ki rone ko asna samjha hum ne..

Muhabbat ki shidat main aankhen iss kadar chandiya gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum ne..

Dewaana iss qadar muhabbat ne bannaya humko..
Apno ko begana aur unn ko apna samjha hum ne..

Muhabbat ki yaadein dil par kuch youn naksh kar gaye..
Bhulane ki koshish mein khud ko hi bhula diya hum ne..

Hindi Bebas Shayari

Hame bhulne ki koshish mat karna,
Hum tere dil ka dard ban jayenge,
Karoge aakhri saans tak yaad,
Hum tumhe itna bebas kar jayenge.

Bewafa Shayari Message


Nazar toh mila sake,
Par zubaan ko hila na sake,
Laakh chaha humne,
Phir bhi tum ko bhula na sake.

Bewafa Shayari SMS

Dhoka diya tha jab tumne mujhe,
Dil se main naraz bahut thi,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh dil bhi tumhare paas tha.

Hindi Free SMS

Pal beet jayega waqt gujar jayega,
Bas yaadon bhara yeh safar reh jayega,
Na woh log honge na unki baatein hongi,
Yaad karne ko bas woh lamha reh jayega.

Dard Shayari in Hindi

Geele kagaz ki tarah hai zindagi humari
Koi likhta bhi nahi koi jalata bhi nahi
Iss kadar akele ho gaye hain hum aajkal
Koi satata bhi nahi koi manata bhi nahi.

Hindi Bewafa SMS Message

Yeh duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere dosto zindagi ek safar hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.

Gam SMS

Pyaar ne ye kaisa tohfa de diya,
Mujhko gum ne pathar bana diya,
Teri yaadon mein hi kat gayi ye umar,
Kehta raha tujhe kab ka bhula diya.

Dard Shayari in Hindi


Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote,
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe,
Rota hai dil aur toot jate hain sapne,
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne.

Dard Hindi Shayari

Aaj teri yaad ko seene se laga kar roye,
Apne khuwabo me tujhe paas bula kar roye,
Haazaro baar pukara tujhe tanhaiyon me,
Aur har baar tujhe paas na pa kar roye.

Dard Bhari Shayari SMS

Kaash hamari bhi parwah kisi ne ki hoti,
Toh ye duniya humse ruswa na ki hoti,
Agar aata aap jaisa muskurana hum ko,
Toh humse bhi kisi ne muhabbat ki hoti.

Dard Bhari Message

Dil ko apne har baat se behlaoge fuslaoge
Lekin sokoon o karaar kahin bhi na paoge
Laut kar mere paas jab tak tum na aaoge
Yeh halki si nami palkon me hamesha paoge.

Gam Shayari

Humse jyada koi bechain kya hoga,
Humse jyada koi betaab kya hoga,
Unki yaadon ko baahon mein lekar soye rahe,
Isse jyada unke pyaar ka jawaab kya hoga.

Dard Shayari in Urdu


Bikhre ashkon ke moti bana na sake,
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aansu mein tasweer teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake.

Gam Shayari in Urdu

Talaash karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar aankhein hamari kahan se layega.

Gam Bhare Gajal

Saath chhod kar gam nahi mujhe,
Gam yeh hai tu meri zindagi me aaya kyun,
Pyar ki iss chhoti si bhool ke liye,
Zindagi bhar mujhe rulaya kyun.

Dard Ki Shayari

Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
Muskura rahe the hum, par ankho mein namisi thi,
Saath humare yeh jahan tha saara,
Par na jane kyun kisi ki kami si t

 

About