Romantic Nazam in Hindi

Romantic 28 Line Hindi Nazam (Poem)

Hospital me marne jaisi halat ho gayi,
Aap aaye rote hue, hamdardi jag ne lagi,

Mera pura kamra bhar gaya doston se,
Lekin kisiko kya pata wahan thi ek ladki,

Hum sab mein se sabse chhoti,
Uske haath mein ek phul  thi,

Phool de kar chali gayi, kuch na boli,
Dekha aap se achhi yeh ladki hi sahi,

Kuch na bole, kitna kuch keh gayi,
Aap ne kaha, sab tujh se pyaar karte hain,

Humne kaha, dosti bahut kam rakhte hain…
Na jaane kaise hamari mulakat hui,

Na jaane kaise hamari dosti hui
Achanak kaise zindagi ne mod liya,

Na jaane kyon tumhare saath dhoka hua,
Na jaane kyon mera break-up hua,

Achanak se kaise tum laut aaye,
Achanak se kaise hamari dosti gehri hui,

Na jaane kyon humne itni baatein ki,
Na jaane kyon tumhe jaana pada,

Achanak si yeh mehsoos hone laga,
Shayad mujhe pyaar hone laga,

Na jaane kyon tumhare msg ka intezaar rehta hai,
Na jaane kyon yeh chehra khil uthta hai,

Na jaane kyon yeh hua,
Na jaane kaise yeh hua,

Achanak se yeh mehsoos hua,
Mujhe tumse pyaar hua...

12 Line Hindi Love (Romantic) Poetry

Tere pyaar ki barish mein nahane ko ji chahta hai,
Teri baahon ki garmi mein phighal jane ko ji chahta hai,

Tere ishq ke gehre saagar mein doob jane ko ji chahta hai,
Teri jheel si kaali aankhon mein sama jane ko ji chahta hai,

Chand se tere chehre pe fida ho jane ko ji chahta hai,
Muhabbat mein teri hadd se guzar jane ko ji chahta hai,

Teri pyaari baatein mere dil ko bahut lubhati hain,
Bheegi si muskaan teri deewana mujhe kar jaati hain,

Gussa bhi tera hai pyaar bhara saari duniya se judaa,
Anokhi teri adaon pe marr mitne ko ji chahta hai,

Maanga hai tujhe khuda se har sajdon ke baad,
Zamane ki nazron se tujhe chhupa lene ko ji chahta hai.

Hindi 10 Line Romantic Poetry (Nazam)

Har lamha geet ban jaata hai tere pehlu me aa ke,
Jo tu gunguna de toh khuda jaane kya ho,

Teri saans se dekhi har su mehekti khusbu,
Jo tu muskura de toh khuda jaane kya ho,

Laakh moti lage hain tere haath mehendi ke,
Jo tu luta de toh khuda jaane kya ho,

Tere naqab ne bana diya charcha sheher me,
Jo tu hata de toh khuda jaane kya ho,

Kai raaz chhupe hain zamane ki in aankho me,
Jo tu bata de toh khuda jaane kya ho.

10 Line Hindi Romantic Poetry

Shararat na hoti shikayat na hoti,
Nainon me kisi ke nazakat na hoti.

Na hoti bekarari na hote hum tanha,
Agar jahan me kambakht yeh mohabbat na hoti.

Na hote ye sapne ye khwabon ki duniya,
Kisi ko chahat ki tamanna na hoti.

Na julfo ki chhaya na phulon ki khushbu,
Yadon me unki yeh ratein na kat ti.

Jo na hoti mohabat yeh ansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rota.

Pyar Ki Pyari Geet - Romantic Poem

Kuch din pehle muhabbat ko muhabbat samjha hum ne..
Muhabbat hui muhabbat ko apna samjha hum ne..

Muhabbat main iss qadar madhosh ho gaye..
Iss ki bewafai ko wafa samjha hum ne..

Zakham iss qadar muhabbat ne diye..
In zakhmo ko phool samjha hum ne..

Muhabbat ki chikh o pukaar iss qadar thi..
Ass pass ke logo ki rone ko asna samjha hum ne..

Muhabbat ki shidat main aankhen iss kadar chandiya gaye..
Har chamakti hui chiz ko sona samjha hum ne..

Dewaana iss qadar muhabbat ne bannaya humko..
Apno ko begana aur unn ko apna samjha hum ne..

Muhabbat ki yaadein dil par kuch youn naksh kar gaye..
Bhulane ki koshish mein khud ko hi bhula diya hum ne..

14 Line Hindi Romantic Poetry

Hans ke bola karo bulaya karo
Aap ka ghar hai aaya jaya karo

Muskurahat hai husn ka zevar
Rup badhata hai muskuraya karo

Had se badh kar hasin lagate ho
Jhuthi kasmen zarur khaya karo

Hukm karana bhi ek sakhaavat hai
Ham ko khidamat koi bataya karo

Baat karana bhi baadshaahat hai
Baat karana na bhul jaayaa karo

Taa ki duniya ki dil kashi na ghate
Nit naye pairahan mein aaya karo

Kitane sada mizaaj ho tum ‘akbar’
Uss gali mein bahut na jaya karo

14 Line Hindi Romantic Najm

Mat poocho ye mujhse ke kab yaad aate ho
Jab jab saanse chalti hain bahut yaad aate ho

Neend mein palkein hoti hain jab bhi bhari
Banke khwaab baar baar nazar aate ho

Mehfil mein shaamil hote hain hum jab bhi
Bhird ki tanhayon mein har baar nazar aate ho

Jab bhi socha ke faasla rakhoon main tum se
Zindagi ban ke saanson mein sama jaate ho

Khud ko toofaan banaane ki koshish toh ki
Ban ke saahil apni aagosh mein sama jaate ho

Chaha na tha main ne iss paheli mein uljhna
Har uljhan ka jawaab ban ke ubhar aate ho

Tumhari kasam bahut bahut yaad aate ho
Ab na puchhna mujhse ki kab kab yaad aate ho.

14 Line Hindi Romantic Najam

Tera haath, haath mein ho agar,
Toh safar hi asli hayaat hai.
Tere har kadam par hain manzilen,
Tera pyar gar mere saath hai.

Meri baat ka meri hamnafaz,
Tu jawab de na de mujhe.
Teri ek chup mein hai chupi,
Woh hazaar baaton ki baat hai.

Meri zindagi ka har ek pal,
Tere husn se hai juda hua.
Tere honth thirke toh subah hai,
Teri zulf bikhre toh raat hai.

Tera haath haath mein ho agar,
Toh safar hi asli hayaat hai.

16 Line Romantic Nazam (Poetry) in Hindi

Tumhare sath rehne ki khwaish hai mere dil mein
Mohabbat dilwar se hoti hai deewaron se nahin
Bhare baazaaar mein dhundhti hain tumhe yeh aankhen
Tanhayi bheerhon mein bhi hoti hai, sirf akele mein nahin

Khushi ke do pal kaat lene ki hamne tamanna ki hai
Khushbu phoolon se hoti hai kaanton se nahin
Na udaasi, na mah ke aasre hain hamein kabool
Madhoshi jeene se bhi hoti hai sirf peene se nahin

Din ki roshni se hi banti raat ki pahchaan hai
Suraj na ho toh chaand ko koi puchhega nahin
Kuch roz khazaan ka aana toh laazmi hai
Yeh kosoor toofanon ka hi ho koi zaroori to nahin

Baton baton mein kat jaate hain sab lambe safar
Karavaan kyon tham gaya, kahin yeh meri dagar toh nahin
Maaf kardena agar kuch ho jayen galtiyan
Hum insaan hain aakhir koi khudaa toh nahin

8 Line Best Romantic Poem in Hindi

Tumko jaante nahi, par chahate hain hum
Din bhar khojte nahi, par sochte hain hum

Tumhare dil mein rehte nahi, par tumhare hain hum
Tumko shayad paayenge nahi, par apnayen ge hum

Jeevan mein shayad kabhi mil na paao,bas bichhar jaao ge tum
Shayad humare na ban paao, par muskurao ge tum

Raat andheri hogi, phir bhi jhilmilaoge tum
Humein aur koi nahi, bas yaad aaoge tum
 

About